Powiedz znajomym o tym przedmiocie:
Punarjanam / ?????????
Acharya Prashant
Punarjanam / ?????????
Acharya Prashant
Punarjanam ka vishay aatma, jeevatma, karm karmfal, jaatipratha aadi se samvedansheel roop se juda hua hai. Punarjanam ko lekar samaaj me badi bhraantiyaan rahi hain jinke karan bharat ki chetna ka bada patan hua hai.
Acharya Prashant punarjanam ke vishay ka shudh vaidik arth karte hain. Samajik roodhiyon ki apeksha ve upanishadon ke sidhanton ko manayta dete hain. Is karan samaajik roodhiyon par chot padti hai, aur jo log satya se adhik apni manyataaon ko mooly dete hain, wo bura bhi maan jaate hain.
Haal hi me ek samacharpatr ne Acharya Prashant pr likha: Aesa kaise ho sakta hai ki itne lambe samay tak humara samaj punarjanam ke siddhant ka galat arth karta raha? Itna hi nahin, kya ve vidwaan ityaadi bhi galat hain jinhone punarjanam ke samanay prachlit arth ka parachaar kiya?
Acharya Ji ke wikipedia page par bhi punarjanam ke vishay par 'alochna' khand me charcha hai. Bahut saari jigyaasaein humare paas is vishay par aati rehti hain.
Aesi sab jigyaasaon ko shaant karne v punarjanam aadi ke baare me upanishadon ke mat ko poori tarah spasht karne hetu pustak 'Punarjanam' aap tak laai jaa rahi hai.
Aapke haathon me yeh ati mahatvpoorn pustak dete hue hum prasann bhi hain, aur prarthi bhi. Prasannta ki Vedant ke marm ki shudh prastuti aap tak pahunch rahi hai, aur prarthna ki aap paramparaon aur roodhi ki apeksha satya ko samman dein.
Pustak ab aapki hai.
Media | Książki Paperback Book (Książka z miękką okładką i klejonym grzbietem) |
Wydane | 5 października 2021 |
ISBN13 | 9781685631802 |
Wydawcy | Notion Press |
Strony | 302 |
Wymiary | 127 × 203 × 17 mm · 331 g |
Język | Hindi |
Więcej od Acharya Prashant
Zobacz wszystko od Acharya Prashant ( np. Paperback Book )